Feb 26, 2009

ye aur baat hai k us sy wafa na ho saki FARAZ

ye aur baat hai k us sy wafa na ho saki FARAZ

mgr jo waday kiye us ny, wo ghazab k thay...!!!

Mera us shehr-e-baghawat hai jahan

Mera us shehr-e-baghawat mein basaira hai jahan

log sajdon mein bhi dosaron ka bura chahtay hein...!!!

Feb 22, 2009

Guloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay

Guloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay
Chalay b aao Kay Gulshan ka Karobaar chalay

Qafas Udaas hai Yaaro !! Saba Se Kuch Tou Kaho
Kahien Tou Behr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chalay

Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shab-e-Hijraan
Humare Ashk Teri Aqbat sanwaar chalay

Hua Jo Teer-e-Nazar Neeem Kash To Kia Hasil
Maza To Jab Hai K Seenay K Aar Paar Chalay

Muqaam Faiz koi Raah Mien Jacha hee Nahi
Jo koy-e-Yaar Se Nikle Tou Soy-e-Daar Chalay...

Koi Zanjeer Ho , Uss ko Muhabbat Torr Sakti hai

Muhabbat Par kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta

Ye her Zandaan Ki Aandhi Salakhein Torr sakti hai
Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr Sakti hai

Ye Jab chahay Kisi Bhi khawb ki Tabeer Mil Jaye
Kisi Rastey mein Raasta Poochti ,Taqdeer Mil jaye

Samey kay Taiz Dharoon ko Ye pichey Chorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho , Uss ko Muhabbat Torr Sakti hai

Feb 20, 2009

Chaman pe jo bhi thay nafiz usool uske thay

Chaman pe jo bhi thay nafiz usool uske thay
Tamaam kaante hamare aur phool uske thay
Main iltejaa bhi karta to kis tarha karta
Nagar mein faisle sabko kabool uske thay

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Neend to kaanton k bister pe bhi aa sakti hai

Neend to kaanton k bister pe bhi aa sakti hai
Sar un ki goud mein ho ye zaroori to nahin....!!!

Feb 17, 2009

Hum hain mataa e koocha o bazaar ki tarha

Hum hain mataa e koocha o bazaar ki tarha
uthti hai har nigaah khareedar ki tarha

wo to kaheen hai aur magar dil ke aas paas
phirti hai koi shae nigaah e yaar ki tarha

majrooh likh rahe hain wo ahl e wafa ka naam
hum bhi khare huai hain gunahgaar ki tarha

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata

Woh Ek Hi Chera Toh Nahi Saare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab Main Udhar Kyon Nahi Jata

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata"

Laash Parwaaney ki Hata de Aagey Se Koi

Laash Parwaaney ki Hata de Aagey Se Koi
Shama Masoom hai Badnaam hui Jati Hai

kis ko qaatil main kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN

kis ko qaatil main kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe hain kise kyaa samajhuuN

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqiin hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuuN

dil jo TuuTaa to kaii haath duaa ko uThe
aise maahaul men ab kis ko paraayaa samajhuuN

zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apanaa samajhuuN

Kia Mila Muhabat se????

Kia Mila Muhabat se


Khawab ki Musafat se


Wasal ki Tamazat se


Rooz o Shab Riazat se


Kia mila Muhabat se


Aik Hijer ka Sehra


Aik Shaam Yadoon ki


ik thukka hua Ansuu...

apnay ahsas say chu kar mujhay sandal kar do...

apnay ahsas say chu kar mujhay sandal kar do...
main kai sadioon say adhoora hoon mukamal kar do..
na tumhian hosh rahay or na mujhay hosh rahay....
is qadar toot k chahooo mujhay pagal kar do....

tum hatheli ko meray piyar ki mehandi say rango...
apni ankhoon main meray nam ka kajal kar doo..
is k sayay tallay meray khwab dahak uthaian gay....
meray chehray pay chamtka hua anchal kar dooo

dhoop hi dhoop hoon main toot k barsoo mugh per...
is qadar barsoo meri roh main jal thal kar doo...
jaisay sehraoon main har sham hawa chalti hay...
is tarah mugh main challo or mujhay thall kar doo

tum chupa lo mera dil oat main apnay dil ki...
or mujhay meri nighaoon say b oojhal kar doo...
masla hoon to nighahian na churaoo mugh say...
apni chahat say tawajah say mujhay hal kar doo

apnay gham say kaho har waqt meray sath rahay...
aik ahsan karoo is ko musalsal kar do..
mugh pay chha jaoo kisi aag ki surat jana...
or meri zaat ko sukha hua jungle kar dooo

Kaisi hai ye mohabbat jis ko nibhany sy dar lagta hai

Kaisi hai ye mohabbat jis ko nibhany sy dar lagta hai
Dil to chahta hai phir bhi muskarany sy dar lagta hai

Kitni berukhi karta hai muj sy nazrin b churata hai
Ji bhar k us ny rulaya mujhy ussy rulany sy dar lagta hai

Uska na milna taqdeer mein likha tha yehi shayid
Pas reh nahi sakta dur jany sy dar lagta hai

Bat us sy kiye bina dil ko chian ata nahi
Khud uski batin ussy sunany sy dar lagta hai

Sary wady sari batin bhool gya wo
Na chahty hoye bhi bat bharhany sy dar lagta hai

akhri baar milo

Akhri bar milo aisay keh jaltay huay dil
Rakh ho jain koi aur taqaza na karain
Chaak-e-wada na silay, Zakhm-e-tamanna na khulay
Saans hamwar rahay, shama ki lau tuk na hilay
Baatain bus itni keh lamhay unhain aa ker gin jaaen
Ankh uthaiy koi ummed to aankhain chin jaaen
Us mulaqat ka ab koi wehem nahin
Jis say aik aur mulaqat ki soorat niklay
Ab nahin jaanan junoon ka na hukayat ka waqt
Ab na tajdeed-e-wafa ka na shikayat ka waqt
Lut gaye shehr-e-hawadis main mata-e-alfaaz
Ab jo kehna hai to kesay koi noha kehyay
Aaj tak tum say rag-e-jaan kay kaiee rishtay thay
Kal say jo ho ga usay kaun sa rishta kehyay
Phir na daikhain aarz-o-rukhsaar milo
Matami hai dam-e-rukhsat, dar o dewaar milo
Phir na hum houn, na iqraar na inkaar milo
Akhri baar milo,
akhri baar milo

Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!

Mujhay is zindagani say koi shikwa nahin lekin...
Zara si bay sakooni hai...
Najany kyun meray dil main...
Ajab aik khauf rehta hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Keh meray dil kay darwazay per...
Teri yaad ki dastak main wo shiddat nahin baqi...
Bohot hi khaas batain hain...
Jo mujh ko aam lagti hain...
Meray dil main unhain sun ker koi toofan nahin uthta...
Teri aankhain, tera chehra, teri aawaz ki rim jhim...
Sabhi kuch khwab lagta hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Sunehri titliyon jesay...
Wo sub khush rang say sapnay...
Meray lafzon kay phoolon per...
Bohot din say nahin bethay...
Mujhay mehsoos hota hai...
Samay ki taiz lehron nay...
Hamaray rait kay kachchay ghar gharonday tor dalay hain...
Mujhay un taiz lehron say...
Sunehri titliyon say...
Sabhi khush rang sapnon say...
Koi skhikwa nahin lekin...
Zara si bay sakooni hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Tumharay dil kay darwazay pe meri yaad ki dastak...
Meri jaan ab nahin hoti...
Meri jaan ab nahin hota...
Keh meri yaad aaye to...
Tumhari aank bhar aaye...
Dua’ain mangtay lamhay...
Mujhay tum bhool jati ho...
Magar phir muhay tum say...
Koi shikwa nahin lekin...
Ajab si bay sakooni hai...
Ajab aik khauf hai dil main...
Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!

Kathan hay zindagi kitni

Kathan hay zindagi kitni
Safar dushwaar kitna hay
Kabhi paaoo'n nahee'n chaltay
Kabhi rasta nahee'n milta
Hamaara saath day paaey
Koi aisa nahee'n milta
Ager mai'n yoon guzaaro'n to
Yeh shab-o-roz nahee'n kat'tay
Mager aey mairay maalik
Mujhay shikwah nahee'n tujh say
Mai'n jaa'n pay khail sakta hoo'n
Mai'n per dukh jhail sakta hoo'n
Ager tu aaj hi ker day
Mohabbat hum-safar mairi

apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
log tuufaan uThaa dainge mere saath na chal

pahale haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii
main tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal

main tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise
main terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise
merii qismat main nahii pyaar kii Khushbuu shaayad
mere haatho.n kii lakiiro.n main nahii tuu shaayad
apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

mujh se kahatii hain ye Khaamosh nigaahe.n terii
merii paravaaz se uu.Nchii hain panaahe.n terii
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N
ab kisii aur kii baaho.n main hain baahe.n terii
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal

apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

Feb 16, 2009

Un k andaz-e-karam, un pe wo ana dil ka

Un k andaz-e-karam, un pe wo ana dil ka
hy wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka,

koi nae baat nahin hai, husn pe ana dil
masghala hai ye, nahyat he purana dil ka,

wo mohabat ki shuruaat, wo bypanah khushi
wo dekh k un ko , phooly na samana dil ka,

na suna us ny tawja sy fansana dil ka
zindagi guzari par dard na jana dil ka,

dil-lagi dil ki lagi ban k mita deti hai
rog dushman ko bhi ya Rab na lagana dil ka,

hasratein khaak hoi, mar gaye armaan saray
lut gaya koocha-e-jana mein khazana dil ka,

wo bhi apny na hoye dil bhi gaya haathon sy
esy anay sy to behtar tha na ana dil ka,

un ki mehfil mein 'Naseer', un k tabasum ki qasam
dekhtay reh gaye ham haath sy jana dil ka...!!!

Khud ko chuntay hoye din sara guzar jata hai

Khud ko chuntay hoye din sara guzar jata hai
par hawa shaam ki chalti hai, to bikhar jata hoon!!!

Feb 14, 2009

sar-e-rah usy mila nahin

sar-e-rah us sy mila nahin, kabi us k ghar gaya nahin,
mein saddion sy usi ka hoon usy aaj tak ye pata nahin,

ye Khudda ki dain bhi ajeeb hai, keh isi ka naam naseeb hai,
jisy tu ny chaha wo mil gaya, jisy mein ny chaha wo mila nahin,

tujhy paak nazaron sy choomna, meri ibaadaton mein shumar hai,
koi phool lakh qareeb ho, mein ny usy kabhi chowa nahin....

Feb 13, 2009

tum jo hotay to mujhy kitna sahara hota

tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
mein ny oron ko na dukh mein pukara hota,

jitni shiddat sy mein wabasta tha tujh sy
kis trah teray bin mera guzara hota,

ham beth k khamoshi sy roye jatay
sham hoti, kisi darya ka kinara hota,

mujh ko ye soch he kafi hai jalnay k liay
mein na hota, to koi aur tumhara hota..

byhiss hein yahan log, bhala soch k karna

byhiss hein yahan log, bhala soch k karna..
es dour mein logon sy wafa soch k karna..

ik baar jo roothay to mana tum na pao gay
ham jaisy wafa daron ko khafa soch k karna...

kuch es trah sy nazar andaaz ho gaye ham Faraz...

kuch es trah sy nazar andaaz ho gaye ham Faraz...

jaisy izaafi harf thay ham us ki zindagi ki kitaab mein!!

Ye ham tasleem kartay hein..

Ye ham tasleem kartay hein..
tumhein fursat nahin milti...
magar...
O hamarai soch k mehwar...
kbi ye bhi to zara socho...
k...
tumhein ham yaad kartay hein..
.
to khud ko bhool jatay hein.!!

Es sy pehly k mohabat mein khasara ho jaye

Es sy pehly k mohabat mein khasara ho jaye
aao mil behthain k ye waqt hamara ho jaye

ham ny kal raat Khudda sy ye dua ki ha Faraz,
tum jis shaks ko chaho wo tumhara ho jaye...!!!!

Feb 12, 2009

Suno!!!

Suno!!!

Mujhy dukh es baat ka nahin,
Keh meri zaat ko muntashir karny walay,
haath teray thay....

Mujhy afsos to es baat ka hai
keh meri raiza raiza zaat ko samaiteny walay...
haath,

Teray nahin thay....!!!

Feb 11, 2009

Meray shikwon pe us ny hans k kaha...

Meray shikwon pe us ny hans k kaha...
"Kis ny ki thi wafa, jo ham kartay...!!!"

woh es kamaal sy khayla tha ishq ki bazi..

woh es kamaal sy khayla tha ishq ki bazi..
mein apni fateh samajhta raha maat honay tak

Aye kahin sy mujhay jaan sy guzarta dekhay...

aye kahin sy mujhay jaan sy guzarta dekhay...
us ki khahish thi, mujy bikharta dekay..

Wafa mein Aab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..

Wafa mein Aab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay to khair taira intazaaar karna hai

Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar-e- rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswason mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai

Misal-e-shaakh-e-barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jism ko bay barg-o-baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarah kattain apnay
Keh shughal-e-shab to sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeh ashak he moti samajh kay baich ayain
Kissi tarah to humain roz'gaar karna hai

Kabhi to dil mein chupay zakham bhi numayaan hon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Kia khabar yeh koi zid keh shouq hai "Mohsin"
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai....

Kaha us ny, batao ye qayamat kia hai?

Kaha us ny, batao ye qayamat kia hai?

Maine ghabra ke kaha rooth jana tera....

"Maut kehte hai kise", jab mujh sy pocha,

Maine ankhe jhuka kar kaha "chorr jana tera..."

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jaye g

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jaye g
Zindagi bas naam he ki zindagi reh jaye g

Tark-e-Ulfaat k Iraday par zara phir sochiye
Main chala jaaon ga aur tu dekhti reh jaye g

Ye nahi Kehtay k Tujh bin Jee nahi paein gay hum
Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jaye g

Piyar k sadqay ye lagta hai hamare Darmiyaan
Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jaye g

Main To Tae kar k Chala jaon ga duniya ka Safar
Mere baray mein ye Dunia Sochti reh jaye g

Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun
Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jaye g

Feb 8, 2009

Raaz-e-ulfat chhupaa k dekh liya

Raaz-e-ulfat chhupaa k dekh liya
dil bohot kuch jala k dekh liya

woh mery ho k bhi mery na huey
un ko apana bana k dekh liya

aur kia dekhany ko baaqi hai
aap say dil lagaa k dekh liya

"Faiz", taqameel-e-Gham bhi ho na saki
ishk ko aazmaa k dekh liya . . . .

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main Faiz

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!!

Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja

Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja
Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein
Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein
Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm
Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh he teri aankh thee,Na Vo khwab he tera khwab thaa
Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker
Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya
Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bhula usey Bhool ja

yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laya hai

yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laya hai
kisi ke saath sahi vo nazar tu aya hai

karoon shikayatien takta rahoon ke pyar karoon
gaye bahar ki soorrat vo laut aya hai

woh samney tha magar ye yaqeen na ata tha
woh app hai ke meri Khahishoon ka saya hai

azab hein ke kaisey hein barishein kya hein
faseel-jism giri jub tu hosh aya hai

main kya karoon gan agar woh na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil mein Khayal aya hai

zalim tha wo aur zulm ki adat be bahot thi

zalim tha wo aur zulm ki adat be bahot thi
majboor the hum us se mohabat be bahot thi

us buut ke sitam seh ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiyat mein bagawat bi bahot thi

wakif hi na tha ramz-e-mohabat se wo warna
dil ke liye thori se enayat be bahot thi

yoon hi nhin mash-hoor-e-zamana mera qatil
us shaks ko iss fun mein maharat bi bahot thi

kya daur-e-gazal tha ke lahoo dil mein bahot tha
aur dil ko lahoo karney ki fursat be bahot thi

har shaam suntatey the hasinoon ko gazal hum
jab maal bahot tha aur sakhawat be bahot thi

bolawa ke hum hum aziz ko pashemaan bi bahot hein
kya kijiye kambakht ke shohrat be bahot thi!!

Aankho mein aansoo aye na hote

Aankho mein aansoo aye na hote

Agar wo peeche se muskuraye na hote

Un k jaane k baad ye gham hota hai keh

Kash wo zindagi mein aye na hote!!!!!!

bana bana ke tamana mitayi jati hai

bana bana ke tamana mitayi jati hai
tarah tarah se wafa azmayi jati hai

jub un ko meri mohabat ka aetbaar nhin
toh jhooka jhooka ke nazar kyun milayi jati hai

humare dil ka pata wo humein nhin detey
humari cheez hum hi se chupayi jati hai

shakeel doori_e_manzil se naumeed na ho
manzil ab aa hi jati hai ab aa hi jati hai!

bay nishan manzalon k safar

bay nishan manzalon k safar
kabhi niklo to jano gay
k
hum jaisay musafir
kion
ghar ka rasta
bhool jatay hian

jhoota sa lagta hai!!!!

MUJAHY fursat hi fursat hai...

sawery jald uthna hia...

na shub ko dair say sona...

kahin bahir nahin jana..

kisi say bhi nahin milna

na koi fikr baki hai

na koi yad baki hai

magar yah akhri misrah.............!


zara jhoota sa lagta ha

shab-e-tanhai usay kahna

shab-e-tanhai usay kahna
k raat ka pichla pahar hai
or hum jagtay hian
hamari ankhon say neend koson door hai
abhi tak us k naghme gungunatay hain
shab-e-tanhai usay kahna
hum ab bhi BA WUZU ho
us ka nam laity hain
usy kahna yah apna naksh dho jay
yah phir say mera ho jay

Wo mera tha yeh batana ajeeb lagta hai

Wo mera tha yeh batana ajeeb lagta hai

Ab us see ankh milana ajeeb lagta hai

Jo zindgi main mera ho nai saqa

Uss ka khawab main ana ajeeb lagta hai

Bare khulos se dawat to us ne bheji par

Uss ke mehfil main jana ajeeb lagta hai

Tha jis ka hath humesha mere haathon main

Ab uss see hath milana ajeeb lagta hai

Esa Bhi Nahi K Mujhko Muhabbat Nahi Mili

Esa Bhi Nahi K Mujhko Muhabbat Nahi Mili
Jesi Me Chahti The Wo Qurbat nahi Mili

Milne Ko To Zindagi Bht Qareebi Rishton Se Mili
Per Jesa Mene Chaha Wesi CHahat NAhi Mili

Socha Bhi nahi Tha K Esa Bhi Hojaye Ga
Rukhsat Hua Ese K Rokney Ki Mohlat Bhi Nahi Mili

Apni Tamam tar Wafain Us Se Mansookh Karden
Bawajuud Is K Bhi Hamen Rafaqat Nahi Mili

Bad Is K Zindagi Me Kayee Humsafar Mile
Ilawa Is K Kisi Se Tabyat Nahi Mili

Dunya K Hajjum Me dhundtey rahe WO CHehra
Magar Kahen Suurat Nahi Mili To Kaheen Seerat Nahi Mili

TUM KHETE HO MUJHAY

TUM KHETE HO MUJHAY

TUM khete ho mujhay
Phoolon say pyaar hai.....
Magar jub phool khiltay hain
to Unhain tahin say tor date ho....?

TUM khete ho mujhay
baarishon se pyaar hai....
Magar jub baarish hoti hai
to chuppte phirte ho ......?

Tum khete ho mujhay
howaoon se pyaar hai....
Magar jub hawa chalti hai
to khirkiyan band kar lete ho...?

PHIR US WAQT...
Main khof zada ho jata hoon
jub tum mujhe say khete ho
TUM SE PYAR hai........

Dukh tujhey ho ga k mein bey hiss hoon pathar ki tarah

Dukh tujhey ho ga k mein bey hiss hoon pathar ki tarah
meri tanhaie mein shamil apni tanhaie na kar!

dekh khushbu ki tarah udtey hain shehar mein qissey
ajnabi logon se zikar mehfal araie na kar.....

Main ne iss taur se chaha hai tujhe akser janaa

Main ne iss taur se chaha hai tujhe akser janaa
Jaise mehtaab ko be-ant samander chahe
Jaise sooraj ki kiran seep ke dil main utre
Jaise khushboo kpo hawa rang se hat ker chahe

Jaise patther k kalaije se kiran phoot-ti hai
Jaise ghunche khile msam se hina maangte hain
Jaise khwabon main khayalon ki kamaan toot-ti hai
Jaise barish ki duaa aabla pa maangte hain

Mera her khwab mere sach ki gawahi de ga
Wusaat-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh sarapa apna
Main ne dunya se alag teri parastish ki hai

Khwahish-e-deed ka mosam kabhi dhundla jo huwa
Noch daali hain zamanon ki naqabain main ne
Teri palkon pe uterti huee subhon ke liye
Torr daali hain sitaron ki tanabain main ne

Main ne chaha k tere husn ki gulnaar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jye
Main ne chaha ke mere dil ke gulistan ki bahaar
Teri aankhon ke gulaabon se mehekti jye

Tai to ye tha ke sajata rahay lafzon ke kanwal
Mere khamosh khayalon main takallum tera
Raqs kerta rahay , phirta rahay khushboo ka khumaar
Meri khwahish ke jazeeron main tabassum tera

Mujh se maange gaa tere ehed-e-mohabbat ka hisaab
Tere hijraan ka dehekta huwa mehshar janaa
Youn mere dil ke barabar tera ghum aaya hai
Jaisay sheeshay ko muqabil koi patthar janaa

Jaise mehtaab ko be-ant samander chahe
Main ne iss taur se chaha hai tujhe aksar janaa

Ab kia kahain ab kia sunain,

Ab kia kahain ab kia sunain,
Keh sar'e faseel'e sukoot'e jaan,
Kaf'e roz-o-shab peh sharar numa,
Woh joh jaan-ba-lab chiraagh tha,
Usay kis hawa nay bujha dia.
Kabhi lab hilain gay to poochna,
Sar'e shehr'e ehd'e wisaal'e dil,
Woh jo nikhaton ka hujoom tha,
Usay dast'e mauj'e firaaq nay,
Tahay khaak kab mila dia.
Ab kia kahain ab kia sunain.
Yonhi khuahishon kay fishaar main,
Kabhi bay sabab kabhi bay khabar,
Kahan kaun kis say bichar gaya,
Kisay kis nay ganwa dia.
Kabhi gul khilain gay to poochna.
Kabhi phir milain gay to poochna.

mujh say milta tha tu karta tha wo bojhal baatain

mujh say milta tha tu karta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti thee jal thal baatain

kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samundar thi aur saahil baatain

uski aankhon main tha junoon aur chahray pe sakoon
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain

mari tanhaai ka jungle bhi mehak uthta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain

meri hasti ko chupa lati thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain

log lafzon say bhi mar jaatay hain ehsaas kero
rooh ko dass lati hain aksar yahaan qaatil baatain

bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatain

Feb 1, 2009

Kon se dukh ki karein baat zara yeh to bata

Kon se dukh ki karein baat zara yeh to bata

Mosmoon , sard hawaoon ki masihai ka dukh

Rah ki dhool main bikhri hui benaai ka dukh

Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

Ya beegi barsaat main tanhai ka dukh

Kon se dukh ki karein baat, yeh dil ka derya

Itni tughyaani ki zad per hai keh kuch yaad nahin

Kab hamain bhool gya, kon se harjai ka dukh

Tum to bas aik hi dukh pochtay ho...!!!!

pyaas vo dil kii bujhaane kabhi aya bhi nahin

pyaas vo dil kii bujhaane kabhi aya bhi nahin
kaisaa baadal hai jisaka koi saya bhi nahin

by-ruKhi es se bari aur bhala kia hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin

roz ata hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulayaa bhi nahin

sun liya kaise Khuda jane zamane bhar ne
vo fasana jo kabhi ham ne sunayaa bhi nahin

tum to shair ho ‘Qateel’ aur vo ik aam sa shaKhs
us ne chaha bhi tujhe aur jatayaa bhi nahin...

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,Bari anmol hoti hai,
Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,

Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,
Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,

muje zabt pe garoor tha mere ansou ne wafaa na ki

muje zabt pe garoor tha mere ansou ne wafaa na ki
mere raaz us per ayaan hue ye meri ankh se tapak gay
muje chor de ya samabal le meri laaj uske haath main hai
muje aitrafe shikist hai mare paon rah main thak gay...

Mujhey tanha tanha rahnay do,

Mujhey tanha tanha rahnay do,
Mujey apnay ap main rahnay do,
En logon sy ab dar lagta hai,
Na kisi bat main mera man lagta hai,
Mujhey yad main us ki kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Main ro ro kr jab gir jaoon,
Mujhey chup na krao sahnay do,
Mujhey khud sy baghi rahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Ay Raat bta mera chand mila?
Koi tujh pay bhi ilzaam laga?
Mujhey raat ko raat hi kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do

Ajnabi si rahoon ka Ajnabi musafir ik

Ajnabi si rahoon ka
Ajnabi musafir ik

Mujh say poch baitha hai
Raasta bata doo gay?

Ajnabi say rahoon kay
Ajnabi musafir sunn...

Raasta koi bhi ho
Waasta koi bhi ho

Manzilain nahi milti
Manzilain tu dhoka hain

Manzilain ju mil jaayen
Justaju nahi rahti

Zindagi ko jenay ki
Aarzoo nahi rahti

ByKhuloos Logon Se Ijtenaab karna hai,

ByKhuloos Logon Se Ijtenaab karna hai,
Mujh Ko Apney Rishton Ka Ehtasaab Karna Hai,
Us Ko Bhool Jaana Hai,
Us Ko Yaad Rakhna Hai,
Dukh To Eik Jaisa Hai,
Intekhab Karna Hai...............

Dukh Wo Hai Jo Ander Se Lahu Kerde Hamara Dil...

Dukh Wo Hai Jo Ander Se Lahu Kerde Hamara Dil...
Hum Wo Ke Pighal Ker Bhi Ansoo Nikalne Na De...
Ager Waqt Ke Marham Ka Darma'n Na Mile Koi...
Kuch Hadse Insaan Ko Barso Sambhalne Na De..

Us ne kaha tum mein

Us ne kaha tum mein
ub pehli si baat nehi,

Me ne kaha ab zindagi mein
tera saath nehi,

Us ne kaha ab b kisi ki ankhun
me doob jate ho?

me ne kaha ab kisi ankh mein
wo gehray nehi,

Us ne kaha kyoun itna tut kur
chaha mujhko?

me ne kaha insaan ho pathar to nehi,

Us ne kaha kya me bewafaa hu?

Me ne kaha ab mujhe wafaa ki
talaash nehi,

Us ne kaha bhool jao mujhko

Me ne kaha tum haqeeqat ho
koi khwaab nehi..

Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!

Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!

Nahi Janti Main Kya Anjaam Hai!
Haan Per Aik Aas Hai Baqi!
Thak Chuki Hain Ankhain Meri!
Koi Sapna Jalana Hai Baqi!

Haar Chuki Hon Sab Kuch Shayad!
Haan Per Kuch Paana Hai Baqi!
Who Mil Jaye Tu Her Jeet Hai Meri!
Haan Per Yeh Moujza Hai Baqi!

Kash Who Eik Baar Lout Aay!
Shayad ab Who Waqt Nahi Baqi!
Eik Tooti Hoi Umeed Hai Dil Ko
Haan Per Kuch Hosla Hai BaQi…!

Kathan hay zindagi kitni

Kathan hay zindagi kitni
Safar dushwaar kitna hay
Kabhi paaoo'n nahee'n chaltay
Kabhi rasta nahee'n milta
Hamaara saath day paaey
Koi aisa nahee'n milta
Ager mai'n yoon guzaaro'n to
Yeh shab-o-roz nahee'n kat'tay
Mager aey mairay maalik
Mujhay shikwah nahee'n tujh say
Mai'n jaa'n pay khail sakta hoo'n
Mai'n per dukh jhail sakta hoo'n
Ager tu aaj hi ker day
Mohabbat hum-safar mairi

pahale haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa

pahale haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii
main tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal

apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
log tuufaan uThaa dainge mere saath na chal

pahale haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii
main tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal

main tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise
main terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise
merii qismat main nahii pyaar kii Khushbuu shaayad
mere haatho.n kii lakiiro.n main nahii tuu shaayad
apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

mujh se kahatii hain ye Khaamosh nigaahe.n terii
merii paravaaz se uu.Nchii hain panaahe.n terii
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N
ab kisii aur kii baaho.n main hain baahe.n terii
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal

apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal

Jan 30, 2009

Chalo phir aj kuch tumhare naam likhty hain

Chalo phir aj kuch tumhare naam likhty hain

Wo wadoon ke haseen shah parey
Wo Furqat ke ghumgeen istarey

Wo tere hijer main betii ratian
Wo tere intazaar k lamhy

Kahoon kia main ae jaan e janaan
Keh ab bhi yaad atiin hain wo ratain

Likhiin to kia likhiin tum hi batao
Qalm main taqat e guftaar hai kab

Na sun sakty ho tum ferqat k qisay
To janaan kia likhiin hum?

Kai yadeen Kai bateen
Jo hum ko yaad atiin hain

Na hum Mahfooz kerty hain
Kisi bhi Sang e Mur Mur per

To phir kia likhiin Janaan
Batao kia likhiin hum phir??

wo kahti hai tum per aitebaar nahin

wo kahti hai tum per aitebaar nahin
wo kahti hai mujhe tum sai pyaar nahin
phir bhi ankhion ki katoori mai ansoon ko sajjaye
kahti hai maat jana siwa tairay maira koi ghumgusaar nahin

Dukh tujhey ho ga k mein . . .

Dukh tujhey ho ga k mein beyhiss hoon pathar ki tarah
meri tanhaie mein shamil apni tanhaie na kar!

dekh khushbu ki tarah urtey hain shehar mein qissey
ajnabi logon se zikar, mehfal araie na kar.....

Mohabbat ki tabiyyat mein

Mohabbat ki tabiyyat mein

Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai

Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye

Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai

Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho

Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho

Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho

Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

Mohabbat farz jaisi hai

Mohabbat farz jaisi hai
Nibhana seekh jaogi

Dilon pe qarz jaisi hai
Chukana seekh jaogi

Labon pe phool jaisi hai
Khilana seekh jaogi

Nazar main aag jaisi hai
Lagana seekh jaogi

Tum tak faasla ho hai
Mitana seekh jaogi

Kabhi jo DiL main aa baithay!
Zamana bhool jaogi........

Us Ne Meray Haath Ki Lakeerein

Us Ne Meray Haath Ki Lakeerein
Dekhein
Aor Phir
Hans Kar Kaha!

Tujhay Zindagi Mein Sab Kuch Milay Ga,

Haan Magar....!
Meray Siva............!

kis ko bataye kaya hai mohbbat

kis ko bataye kaya hai mohbbat kaya ye wafa hai
Eak dard hi musalsal es pyaar ka silsila hai

roke roke na jazbein hamare
choty se dil main kitna tofa hai

leke ham jai ye pyaar ab kaha
es rishty ka bas naam hi rah gaya hai

mohbbat k naam se darta hai ye dil
pyaar kerna bas eak saza hai

kitne hai tanha ham kitne adore
k gham ke seiwa na kuch bhi mila hai

koi kisi ka hota nahi hai
ye pyaar na ab phele jaisa hai

Koi tum se pooche kaun hoon "main"

Koi tum se pooche kaun hoon "main"
Tum keh dena koi khaas nahi
Ik dost hai kacha pakka sa
Ik jhoot hai aadha sacha sa
Jazbaat ko Dhaanpe parda sa
Haan eik bahaana acHa sa
Jeevan ka aaisa saathi hai
Jo door na ho kar paas nahi
Koi tum se pooche kaun hoon "main"
Tum keh dena koi khaas nahi

Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay howay

Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar gaye hain tera intazaar kartay howay

Main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paaedaar kartay howay

Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia aitabaar kartay howay

Kuch door humare sath chaloo

Kuch door humare sath chaloo
Hum dil ke kahani keh deen ge
Samje na jise tum ankhoon see
Woo bat zubani keh deen geee
Pholoon ke teraha hatoon pe tumhare
Shookh tabasum bikhere ga
Dheree see tumhare kanoo main
Ek baat purani keh deen gee
Izhar e wafa tum kiya janoo
Iqrar e wafa tum kiya samjoo
Hum ziker keren gee geroon ka
Aur apni kahani keh deen gee
Kuch door humare sathh chaloo

mujh say milta tha tu karta tha wo bojhal baatain

mujh say milta tha tu karta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti thee jal thal baatain

kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samundar thi aur saahil baatain

uski aankhon main tha junoon aur chahray pe sakoon
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain

mari tanhaai ka jungle bhi mehak uthta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain

meri hasti ko chupa lati thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain

log lafzon say bhi mar jaatay hain ehsaas kero
rooh ko dass lati hain aksar yahaan qaatil baatain

bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatain

Tum mere dil mein samao to koi baat bane

Tum mere dil mein samao to koi baat bane
Phir kabhi door najao to koi baat bane


Pyaar kehne sey to baat nahe banti
Pyaar bana k dekhao to koi baat bane


Hum to chup chaap se rehtey hain magar
Tum kabhi aa k hansao to koi baat bane


Sath deney ki to sab baat kiya karte hain
Tum agar saath nibhao to koi baat bane


Rutho sou baar hum hum ko shikayat na hogi
Rooth k maan bhi jao to koi baat bane


Yeh ankhen har dam udaas raha karti hain
In main koi khuwab sajao to koi baat bane

Kitna bebas kar detey ho

Kitna bebas kar detey ho
Muje koi rang dia hota
Main un ki be-rang ankhon main bharta
Muje koi chehra dia hota
Main un be-chehron ko soonp deta
Muje marhan dia hota
Main un k zakhmon pe lagata na thakta
Muje maseehayi di hoti
Main apni apko waqf kar deta
Muje beenayi di hoti
Main shehar bher main taqseem kar ata
Muje hosla dia hota
Main tasali dene k qabil to hota
Muje mohabbat di hai
Aur.......
Aur kamzoor ker dia hia...!!!

Jan 27, 2009

Ik Nia Din Dhal Gia Hia Surmai Si Shaam Main

Ik Nia Din Dhal Gia Hia Surmai Si Shaam Main
Naam Tera Aa Gia Hai Dilraboon K Naam Main

Eik Hairaani Si Aankhoon Main Jami Hai Aaj Tak
Naam Maira Jab Likha Tha Darja-E-Gumnaam Main

Beht Main Likha Tha Mairey Hijer Ka Bederd Dukh
Tum Ney Terpaaya , Satayaaher Ghari Her Gaam Main

Mairey Her Ik Lafz Main Chamkey Jo Taroon Ki Terha
Ik Hushi Ka Rung Bhi Hai Derd K Peghaam Main

Ik Nazer Jo Hamaarey Dil Main Aa Ker Bus Gia
Hum Bhi Us K Sath Hain Ab Her Naee Ilzaam Main

Mohabbat Theher Jaati Hai

Mohabbat Theher Jaati Hai...
Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain
Jisay Hum Piyaar Kartay Hain
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Mohabbat Daimi Such Hai
Mohabbat Theher Jaati Hai !!!
Hamari Baat Kay Andar
Mohabbat Baith Jaati Hai
Hamari Zaat Kay Andar
Magar Yeh Kam Nahin Hoti
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein
Kabhi Koi Zaroorat Mein
Kabhi Anjaan Se Gham Mein
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein
Udaasi Ki Zaroorat Mein
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein
Hamari Aankh Kay Andar
Kabhi Aab-E-Rawan Ban Kar
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein
Bazahir Aisa Lagta Hai
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Magar Aisa Nahin Hota....
Yeh Hargiz Kam Nahin Hoti...
Mohabbat Theher Jaati Hai...!!!

Udaasioon Ka Sabab Jo Likhna

Udaasioon Ka Sabab Jo Likhna,
To Ye Bhi Likhna
Kay Chand Taaray,
Shahaab Ankhien Badal Gaye Hain
Wo Zinda Lamhay Jo Teri Raahon Mein
Tere Anay Kay Muntazir Thay
Wo Thak Kay Raahon Mien Dhel Gaye Hain
Wo Teri Yaadien, Khayal Tere,
Wo Ranj Tere, Milaal Tere
Wo Teri Ankhein, Sawal Tere
Wo Tum Say Mere Tamaam
Rishtay Bichar Gaye Hain,
Ujadh Gaye Hian
Udaasioon Ka Sabab Jo Likna
To Ye Bhi Likhna
Leraztay Hoonton Pe Larhkharhti,
Dua Kay Soraj
Peghal Gaye Hain
Tamaam Sapnay He Jal Gaye Hain
Baad Marnay Ke Tum Meri Kahani Likna
Kese Hoi Barbaad Meri Jawani Likhna
Ye Bhi Likhna Kay Mere Hoont Hansi Ko Tarsay Kese
Bahta Raha Meri Ankhoon Say Pani Likna

Chand Jalta Raha - Wasi Shah

Meri Aankhoon Ka Aansoo Pighlta Raha Chand Jalta Raha
Teri Yaadoon Ka Sooraj Nikalta Raha Chand Jalta Raha
Koi Bister P Shbnam Lapaitey Hyee Hwaab Daikha Kia
Koi Yaadoon Main Kerwt Badalta Raha Chand Jalta Raha
Meri Aanklhoon Main Campus Ki Sab Sauaatain Jaagti Hian Hain Abhi
Neher Per To Merey Saath Chalta Raha Chand Jalta Raha
Main To Yeah Jaanta Hon K Jis Shab Mujhey Chor Ker Tum Gayee
Aasmaanoon Sey Shaula Nikalta Raha Chand Jalta Raha
Raat Aai To Kia Kia Tamaashey Hyee Tujh Ki Maloom Hai
Teri Yaadoon Ka Sooraj Ublta Rah Chand Jalta Raha
Raat Bher Meri Pelkoon Ki Dehleez Per Hwaab Girtey Rehey
Dil Terapta Rah Haath Malta Rah Chand Jalta Rah
Ye December K Jis Main Kari Dhoop Bhi Meethi Legney Lagey
Tum Nehi To December Bhi Sulagta Raha Chand Jalta Raha
Aaj Bhi Woh Taqaddas Bhari Raat Mehki Hui Hia 'Wasi'
Main Kisi Main Aur Koi Mujh Main Dhalta Raha ""Chaand Jalta Raha""