Feb 8, 2009

bana bana ke tamana mitayi jati hai

bana bana ke tamana mitayi jati hai
tarah tarah se wafa azmayi jati hai

jub un ko meri mohabat ka aetbaar nhin
toh jhooka jhooka ke nazar kyun milayi jati hai

humare dil ka pata wo humein nhin detey
humari cheez hum hi se chupayi jati hai

shakeel doori_e_manzil se naumeed na ho
manzil ab aa hi jati hai ab aa hi jati hai!

No comments: