mujh say milta tha tu karta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti thee jal thal baatain
kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samundar thi aur saahil baatain
uski aankhon main tha junoon aur chahray pe sakoon
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain
mari tanhaai ka jungle bhi mehak uthta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain
meri hasti ko chupa lati thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain
log lafzon say bhi mar jaatay hain ehsaas kero
rooh ko dass lati hain aksar yahaan qaatil baatain
bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment