Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar gaye hain tera intazaar kartay howay
Main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay
Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paaedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia aitabaar kartay howay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment