Feb 17, 2009

Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!

Mujhay is zindagani say koi shikwa nahin lekin...
Zara si bay sakooni hai...
Najany kyun meray dil main...
Ajab aik khauf rehta hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Keh meray dil kay darwazay per...
Teri yaad ki dastak main wo shiddat nahin baqi...
Bohot hi khaas batain hain...
Jo mujh ko aam lagti hain...
Meray dil main unhain sun ker koi toofan nahin uthta...
Teri aankhain, tera chehra, teri aawaz ki rim jhim...
Sabhi kuch khwab lagta hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Sunehri titliyon jesay...
Wo sub khush rang say sapnay...
Meray lafzon kay phoolon per...
Bohot din say nahin bethay...
Mujhay mehsoos hota hai...
Samay ki taiz lehron nay...
Hamaray rait kay kachchay ghar gharonday tor dalay hain...
Mujhay un taiz lehron say...
Sunehri titliyon say...
Sabhi khush rang sapnon say...
Koi skhikwa nahin lekin...
Zara si bay sakooni hai...
Mujhay mehsoos hota hai...
Tumharay dil kay darwazay pe meri yaad ki dastak...
Meri jaan ab nahin hoti...
Meri jaan ab nahin hota...
Keh meri yaad aaye to...
Tumhari aank bhar aaye...
Dua’ain mangtay lamhay...
Mujhay tum bhool jati ho...
Magar phir muhay tum say...
Koi shikwa nahin lekin...
Ajab si bay sakooni hai...
Ajab aik khauf hai dil main...
Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!

No comments: