Feb 17, 2009

Hum hain mataa e koocha o bazaar ki tarha

Hum hain mataa e koocha o bazaar ki tarha
uthti hai har nigaah khareedar ki tarha

wo to kaheen hai aur magar dil ke aas paas
phirti hai koi shae nigaah e yaar ki tarha

majrooh likh rahe hain wo ahl e wafa ka naam
hum bhi khare huai hain gunahgaar ki tarha

No comments: