Wafa mein Aab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay to khair taira intazaaar karna hai
Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar-e- rah'guzaar karna hai
woh muskura kay naye waswason mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai
Misal-e-shaakh-e-barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jism ko bay barg-o-baar karna hai
tairay firaaq mein din kiss tarah kattain apnay
Keh shughal-e-shab to sitaray shumaar karna hai
Chaloo yeh ashak he moti samajh kay baich ayain
Kissi tarah to humain roz'gaar karna hai
Kabhi to dil mein chupay zakham bhi numayaan hon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Kia khabar yeh koi zid keh shouq hai "Mohsin"
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment